ab koi ashk bhi aankhon ke samundar mein nahin
ab koī ashk bhī āñkhoñ ke samundar meñ nahīñ
be-hisī vo hai ki shāyad kisī patthar meñ nahīñ
maiñ ne chehroñ pe jo dekhī vo aziyyat-nākī
sar pe laTke hue hālāt ke ḳhanjar meñ nahīñ
ābdīda ye huā kaun mirī hālat par
ye farishta to koī ḳhaak ke paikar meñ nahīñ
tishna-lab huuñ to bujhāhuñgā kisī tarah se pyaas
aam insān huuñ koī āl-e-payambar meñ nahīñ
maslahat kitnā badal detī hai insāñ kā mizāj
ghar se bāhar hai jo har shaḳhs vo kyoñ ghar meñ nahīñ
kitne dil TuuT chuke kitne dhanush TuuT chuke
faisla kyā ho ki siitā hī svayamvar meñ nahīñ
ab koi ashk bhi aankhon ke samundar mein nahin
be-hisi wo hai ki shayad kisi patthar mein nahin
main ne chehron pe jo dekhi wo aziyyat-naki
sar pe laTke hue haalat ke KHanjar mein nahin
aabdida ye hua kaun meri haalat par
ye farishta to koi KHak ke paikar mein nahin
tishna-lab hun to bujhahunga kisi tarah se pyas
aam insan hun koi aal-e-payambar mein nahin
maslahat kitna badal deti hai insan ka mizaj
ghar se bahar hai jo har shaKHs wo kyon ghar mein nahin
kitne dil TuT chuke kitne dhanush TuT chuke
faisla kya ho ki sita hi swayamwar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.