ab koi baat baDhane ki zarurat na rahi
ab koī baat baḌhāne kī zarūrat na rahī
hāl-e-dil un ko sunāne kī zarūrat na rahī
mas.ale ho ga.e be-ruḳh hī siyāsat ke shikār
koī āvāz uThāne kī zarūrat na rahī
qāfile dard ke ḳhud dil se guzar jaate haiñ
rāste un ko dikhāne kī zarūrat na rahī
vaqt vo hai ki hue donoñ anā se sarshār
zindagī saath nibhāne kī zarūrat na rahī
apne āñgan meñ mile ham ko muqaffal rishte
koī dīvār uThāne kī zarūrat na rahī
apnī fitrat se 'asar' vo bhī shanāvar niklā
tairnā us ko sikhāne kī zarūrat na rahī
ab koi baat baDhane ki zarurat na rahi
haal-e-dil un ko sunane ki zarurat na rahi
masale ho gae be-ruKH hi siyasat ke shikar
koi aawaz uThane ki zarurat na rahi
qafile dard ke KHud dil se guzar jate hain
raste un ko dikhane ki zarurat na rahi
waqt wo hai ki hue donon ana se sarshaar
zindagi sath nibhane ki zarurat na rahi
apne aangan mein mile hum ko muqaffal rishte
koi diwar uThane ki zarurat na rahi
apni fitrat se 'asar' wo bhi shanawar nikla
tairna us ko sikhane ki zarurat na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.