ab koi baat mulaqat pe mat chhoDiyega
ab koī baat mulāqāt pe mat chhoḌiyegā
haal kah dījegā hālāt pe mat chhoḌiyegā
gaate rahiyegā kaḌī dhuup meñ bhī naġhma-e-ishq
ab junūñ mausam-e-barsāt pe mat chhoḌiyegā
chashm-e-hairat meñ namī rakhiyegā vijdān kī bhī
raaz saare hī karāmāt pe mat chhoḌiyegā
shahr meñ rakhiyegā kuchh peḌ lagāne kī jagah
ye farīza bhī mazāfāt pe mat chhoḌiyegā
yaar jab dhyān meñ aa jaa.e vahīñ kījiye raqs
jashn ab sūrat-e-hālāt pe mat chhoḌiyegā
be-sabab TuuT bhī jaatī hai kabhī baat kahīñ
dost achchhā ho to is baat pe mat chhoḌiyegā
jo bhī honā hai vo ho kar hī rahegā 'haidar'
ya.anī dil vahm-o-ḳhayālāt pe mat chhoḌiyegā
ab koi baat mulaqat pe mat chhoDiyega
haal kah dijega haalat pe mat chhoDiyega
gate rahiyega kaDi dhup mein bhi naghma-e-ishq
ab junun mausam-e-barsat pe mat chhoDiyega
chashm-e-hairat mein nami rakhiyega wijdan ki bhi
raaz sare hi karamat pe mat chhoDiyega
shahr mein rakhiyega kuchh peD lagane ki jagah
ye fariza bhi mazafat pe mat chhoDiyega
yar jab dhyan mein aa jae wahin kijiye raqs
jashn ab surat-e-haalat pe mat chhoDiyega
be-sabab TuT bhi jati hai kabhi baat kahin
dost achchha ho to is baat pe mat chhoDiyega
jo bhi hona hai wo ho kar hi rahega 'haidar'
yani dil wahm-o-KHayalat pe mat chhoDiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.