ab koi jit nahin haar nahin kuchh bhi nahin
ab koī jiit nahīñ haar nahīñ kuchh bhī nahīñ
maiñ jahāñ huuñ vahāñ sansār nahīñ kuchh bhī nahīñ
ek aalam kī ḳhabar mujh ko huī jaatī hai
maiñ ḳhabar-dār na hushyār nahīñ kuchh bhī nahīñ
ek jaise haiñ magar phir bhī judā haiñ saare
darmiyāñ hai koī dīvār nahīñ kuchh bhī nahīñ
mere bachcho mirī ye baat sadā yaad rahe
aadmī kā koī kirdār nahīñ kuchh bhī nahīñ
vo jo nafrat ke sahāre hī bane haiñ sab kuchh
un se kah do ki agar pyaar nahīñ kuchh bhī nahīñ
pahle har dil pe hukūmat thī 'munavvar' apnī
ab to dillī meñ bhī sarkār nahīñ kuchh bhī nahīñ
ab koi jit nahin haar nahin kuchh bhi nahin
main jahan hun wahan sansar nahin kuchh bhi nahin
ek aalam ki KHabar mujh ko hui jati hai
main KHabar-dar na hushyar nahin kuchh bhi nahin
ek jaise hain magar phir bhi juda hain sare
darmiyan hai koi diwar nahin kuchh bhi nahin
mere bachcho meri ye baat sada yaad rahe
aadmi ka koi kirdar nahin kuchh bhi nahin
wo jo nafrat ke sahaare hi bane hain sab kuchh
un se kah do ki agar pyar nahin kuchh bhi nahin
pahle har dil pe hukumat thi 'munawwar' apni
ab to dilli mein bhi sarkar nahin kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.