ab koi pyar mahakta hai na jalte hain badan
ab koī pyaar mahaktā hai na jalte haiñ badan
aa ga.ī vaqt ke chehre pe ḳhayāloñ kī thakan
raat kuchh der tire shahr meñ ruk jaatī hai
aur ho jaate haiñ yādoñ ke darīche raushan
jab bhī hālāt ne zaḳhmoñ ko chhupānā chāhā
chīḳh uTThe haiñ umīdoñ ke phaTe pairāhan
zindagī aaj bhī kuchh soch rahī hai jaise
har udāsī ko samajh kar tire māthe kī shikan
yuuñ nazar aate haiñ ab duur se maazī ke mahal
jaise vīrāne meñ tārīk-o-shikasta madfan
ab koi pyar mahakta hai na jalte hain badan
aa gai waqt ke chehre pe KHayalon ki thakan
raat kuchh der tere shahr mein ruk jati hai
aur ho jate hain yaadon ke dariche raushan
jab bhi haalat ne zaKHmon ko chhupana chaha
chiKH uTThe hain umidon ke phaTe pairahan
zindagi aaj bhi kuchh soch rahi hai jaise
har udasi ko samajh kar tere mathe ki shikan
yun nazar aate hain ab dur se mazi ke mahal
jaise virane mein tarik-o-shikasta madfan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.