ab kya bataun dard kahan tha kahan na tha
ab kyā batā.ūñ dard kahāñ thā kahāñ na thā
pūchhī vo baat yaar ne jis kā gumāñ na thā
is se ziyāda hāsil-e-umr-e-ravāñ na thā
terā nishāñ jo paayā to apnā nishāñ na thā
duniyā ho yā hujūm-e-qayāmat ho yā ki hashr
tere ḳharāb-e-ishq kā charchā kahāñ na thā
dekhī qafas se jā ke chaman meñ jafā-e-charḳh
sab ke to āshiyāñ the mirā āshiyāñ na thā
aatā nazar thā duur se nazdīk kārvāñ
nazdīk ham hue to kahīñ kārvāñ na thā
aayā nazar na phir bhī jahāñ meñ kisī ko tū
har chand tere jalve se ḳhālī jahāñ na thā
kaisī bahār kis kā chaman fasl-e-gul thī kyā
duniyā nazar meñ hech thī jab āshiyāñ na thā
be-parda is tarah kabhī hāsil thā lutf-e-dīd
hastī kā bhī hijāb mire darmiyāñ na thā
bijlī pe kī nazar to falak par thī jā chukī
dekhā jo āshiyāñ kī taraf āshiyāñ na thā
har zarra-e-jahāñ pe thā ābād ik jahāñ
hastī kā koī zarra bhī to rā.egāñ na thā
'afqar' ma.āl-e-hastī-e-fānī thā bas yahī
kal tak thā naam aaj lahad kā nishāñ na thā
ab kya bataun dard kahan tha kahan na tha
puchhi wo baat yar ne jis ka guman na tha
is se ziyaada hasil-e-umr-e-rawan na tha
tera nishan jo paya to apna nishan na tha
duniya ho ya hujum-e-qayamat ho ya ki hashr
tere KHarab-e-ishq ka charcha kahan na tha
dekhi qafas se ja ke chaman mein jafa-e-charKH
sab ke to aashiyan the mera aashiyan na tha
aata nazar tha dur se nazdik karwan
nazdik hum hue to kahin karwan na tha
aaya nazar na phir bhi jahan mein kisi ko tu
har chand tere jalwe se KHali jahan na tha
kaisi bahaar kis ka chaman fasl-e-gul thi kya
duniya nazar mein hech thi jab aashiyan na tha
be-parda is tarah kabhi hasil tha lutf-e-did
hasti ka bhi hijab mere darmiyan na tha
bijli pe ki nazar to falak par thi ja chuki
dekha jo aashiyan ki taraf aashiyan na tha
har zarra-e-jahan pe tha aabaad ek jahan
hasti ka koi zarra bhi to raegan na tha
'afqar' maal-e-hasti-e-fani tha bas yahi
kal tak tha nam aaj lahad ka nishan na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.