ab kya karunga ya-rab tera jahan le kar
ab kyā karūñgā yā-rab terā jahān le kar
dhartī pe maiñ khaḌā huuñ ik āsmān le kar
va.adoñ kī anjuman meñ kuchh fā.eda nahīñ hai
apnī zabān de kar merī zabān le kar
har shai dikhā.ī detī hai saaf jis kī chhat se
ham log bas ga.e haiñ aisā makān le kar
siine meñ rah na jaa.eñ mausam kī dāstāneñ
patjhaḌ ko kyā milegā phūloñ kī jaan le kar
rāh-e-vafā meñ ham ko tum ḳhuub āzmāo
ik imtihān kyā hai sau imtihān le kar
āñchal kī laaj rakhnā hosh-o-ḳhirad se aage
dīvāne baḌh rahe haiñ terā nishān le kar
is lafz-e-āshiqī meñ lākhoñ paheliyāñ haiñ
tum kyā karoge 'dilkash' ye dāstān le kar
ab kya karunga ya-rab tera jahan le kar
dharti pe main khaDa hun ek aasman le kar
wadon ki anjuman mein kuchh faeda nahin hai
apni zaban de kar meri zaban le kar
har shai dikhai deti hai saf jis ki chhat se
hum log bas gae hain aisa makan le kar
sine mein rah na jaen mausam ki dastanen
patjhaD ko kya milega phulon ki jaan le kar
rah-e-wafa mein hum ko tum KHub aazmao
ek imtihan kya hai sau imtihan le kar
aanchal ki laj rakhna hosh-o-KHirad se aage
diwane baDh rahe hain tera nishan le kar
is lafz-e-ashiqi mein lakhon paheliyan hain
tum kya karoge 'dilkash' ye dastan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.