ab main samjha ki fareb-e-shab-e-wa’da kya hai
ab maiñ samjhā ki fareb-e-shab-e-vā’da kyā hai
dil dhaḌakne kī sadā hai tirā aanā kyā hai
bazm-e-'ālam hai mire husn-e-nazar kā e'jāz
merī āñkhoñ kā tasarruf hai ye duniyā kyā hai
maiñ kahāñ aur kahāñ bāda-o-sāġhar se gurez
tujh se ik chheḌ hai saaqī mirī tauba kyā hai
tū agar 'arsh kī ḳhalvat ke liye hai mahdūd
ye tirā chāñdnī rātoñ meñ nikharnā kyā hai
nigah-e-shauq kī jur.at pe bigaḌne vaale
tū hī ḳhud soch ki jalvoñ kā taqāzā kyā hai
un ke jalve hī jo mā.il-ba-numā.ish hoñ to hoñ
varna maiñ kyā huuñ mirā zauq-e-tamāshā kyā hai
ab main samjha ki fareb-e-shab-e-wa’da kya hai
dil dhaDakne ki sada hai tera aana kya hai
bazm-e-'alam hai mere husn-e-nazar ka e'jaz
meri aankhon ka tasarruf hai ye duniya kya hai
main kahan aur kahan baada-o-saghar se gurez
tujh se ek chheD hai saqi meri tauba kya hai
tu agar 'arsh ki KHalwat ke liye hai mahdud
ye tera chandni raaton mein nikharna kya hai
nigah-e-shauq ki jurat pe bigaDne wale
tu hi KHud soch ki jalwon ka taqaza kya hai
un ke jalwe hi jo mail-ba-numaish hon to hon
warna main kya hun mera zauq-e-tamasha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.