ab masiha tere aane ke bahane nikle
ab masīhā tire aane ke bahāne nikle
dil ke goshe meñ ka.ī zaḳhm purāne nikle
suukh jaane ke haiñ dariyāoñ ke imkān bahut
barf ke phuul khile dhuup ke daane nikle
dekhnā kitne hī sailāb umañD ā.eñge
aañkh meñ ashk liye TuuTe gharāne nikle
shaam hote hī jo dahlīz pe aahaT sī huī
mere āñgan se ka.ī ḳhvāb suhāne nikle
phir vahī ḳhat vahī sūkhe hue phūlo ke varaq
Diary jab bhī khulī milte zamāne nikle
ab masiha tere aane ke bahane nikle
dil ke goshe mein kai zaKHm purane nikle
sukh jaane ke hain dariyaon ke imkan bahut
barf ke phul khile dhup ke dane nikle
dekhna kitne hi sailab umanD aaenge
aankh mein ashk liye TuTe gharane nikle
sham hote hi jo dahliz pe aahaT si hui
mere aangan se kai KHwab suhane nikle
phir wahi KHat wahi sukhe hue phulo ke waraq
Diary jab bhi khuli milte zamane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.