ab mera dard na tera jadu
ab mirā dard na terā jaadū
marg-e-amboh meñ kyā maiñ kyā tū
koī āvāz na koī larzish
az ufuq-tā-ba-ufuq ālam-e-hū
halqa-e-dūd bapā mauj-e-sabā
bujh ga.ī sīna-e-gul meñ ḳhushbū
barg-e-nau-rasta haiñ dast-e-majzūm
zahr shāḳhoñ meñ banī mauj-e-numū
raakh kā Dher haiñ vo log jo the
gul-badan ġhuncha-dahan ġhāliya-mū
vaqt kā mai-kada tasvīr-e-sukūt
sañg be-zarb tab āzurda subū
tai huā marhala-e-bīm-o-raja
niist hī niist hai yā-hū yā-hū
ab mera dard na tera jadu
marg-e-amboh mein kya main kya tu
koi aawaz na koi larzish
az ufuq-ta-ba-ufuq aalam-e-hu
halqa-e-dud bapa mauj-e-saba
bujh gai sina-e-gul mein KHushbu
barg-e-nau-rasta hain dast-e-majzum
zahr shaKHon mein bani mauj-e-numu
rakh ka Dher hain wo log jo the
gul-badan ghuncha-dahan ghaaliya-mu
waqt ka mai-kada taswir-e-sukut
sang be-zarb tab aazurda subu
tai hua marhala-e-bim-o-raja
nist hi nist hai ya-hu ya-hu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.