ab mere pas faqat Dhaal hai talwar nahin
ab mire paas faqat Dhaal hai talvār nahīñ
maiñ zamīñ-dār kā beTā huuñ zamīñ-dār nahīñ
reñgte saañp nazar aate haiñ har-sū mujh ko
kaise kah duuñ ki ye fir.aun kā darbār nahīñ
zindagī kaise guzāreñge na jaane apnī
mere bachchoñ meñ zarā bhī koī makkār nahīñ
qasr-e-shāhī kā samajh lenā na hissa ḳhud ko
tū ki dīvār kā saaya hai tū dīvār nahīñ
ek muddat huī angāroñ pe sote sote
phir bhī is vaqt talak qaum ye bedār nahīñ
hai zamīnoñ ke ḳharīdār to lākhoñ 'kaifī'
āsmānoñ kā magar koī ḳharīdār nahīñ
ab mere pas faqat Dhaal hai talwar nahin
main zamin-dar ka beTa hun zamin-dar nahin
rengte sanp nazar aate hain har-su mujh ko
kaise kah dun ki ye firaun ka darbar nahin
zindagi kaise guzarenge na jaane apni
mere bachchon mein zara bhi koi makkar nahin
qasr-e-shahi ka samajh lena na hissa KHud ko
tu ki diwar ka saya hai tu diwar nahin
ek muddat hui angaron pe sote sote
phir bhi is waqt talak qaum ye bedar nahin
hai zaminon ke KHaridar to lakhon 'kaifi'
aasmanon ka magar koi KHaridar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.