Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab meri chashm ki tasKHir nahin hoti hai

Navin Joshi

ab meri chashm ki tasKHir nahin hoti hai

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    ab mirī chashm tasḳhīr nahīñ hotī hai

    so mirī aah meñ tāsīr nahīñ hotī hai

    maiñ bhī pāband-e-salāsil nahīñ rah paatā huuñ

    us zulfoñ se bhī zanjīr nahīñ hotī hai

    vo aa kar kare jis se bhī ho ye vābasta

    mujh se ik ḳhvāb ta.abīr nahīñ hotī hai

    shoḳh āñkhoñ meñ jo hotī hai raqam ḳhushbū se

    aisī tasnīf tafsīr nahīñ hotī hai

    ai zamāne maiñ gunahgār nahīñ bas mujh se

    apne haq meñ kabhī taqrīr nahīñ hotī hai

    usī dīvār tasvīr Darātī hai mujhe

    vo jis par koī tasvīr nahīñ hotī hai

    ḳhud-ġharaz haath haiñ aur un meñ siyāsī naqshe

    yuuñ kisī ahd ta.amīr nahīñ hotī hai

    varaq-e-asr ki jis ko hai ibārat junūñ

    aur ye saa.at ki jo tahrīr nahīñ hotī hai

    ab meri chashm ki tasKHir nahin hoti hai

    so meri aah mein tasir nahin hoti hai

    main bhi paband-e-salasil nahin rah pata hun

    us ki zulfon se bhi zanjir nahin hoti hai

    wo hi aa kar kare jis se bhi ho ye wabasta

    mujh se ek KHwab ki tabir nahin hoti hai

    shoKH aankhon mein jo hoti hai raqam KHushbu se

    aisi tasnif ki tafsir nahin hoti hai

    ai zamane main gunahgar nahin bas mujh se

    apne haq mein kabhi taqrir nahin hoti hai

    usi diwar ki taswir Daraati hai mujhe

    wo hi jis par koi taswir nahin hoti hai

    KHud-gharaz hath hain aur un mein siyasi naqshe

    yun kisi ahd ki tamir nahin hoti hai

    waraq-e-asr ki jis ko hai ibarat ka junun

    aur ye saat ki jo tahrir nahin hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now