Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab meri shan hone wala hai

Jaani Lakhnavi

ab meri shan hone wala hai

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    ab mirī shaan hone vaalā hai

    zaḳhm pahchān hone vaalā hai

    ruuh parvāz karne vaalī hai

    jism halkān hone vaalā hai

    is tamāshā-e-zindagī ke baa'd

    ghar bhī vīrān hone vaalā hai

    koī rahtā nahīñ sadā 'jānī'

    ġham bhī mehmān hone vaalā hai

    ab meri shan hone wala hai

    zaKHm pahchan hone wala hai

    ruh parwaz karne wali hai

    jism halkan hone wala hai

    is tamasha-e-zindagi ke ba'd

    ghar bhi viran hone wala hai

    koi rahta nahin sada 'jaani'

    gham bhi mehman hone wala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now