ab meri yaad ko daman ki hawaen dena
ab mirī yaad ko dāman kī havā.eñ denā
maiñ gayā vaqt huuñ mujh ko na sadā.eñ denā
saḳht be-jalva-o-be-nūr haiñ lamhāt-e-firāq
dil bahal jā.egā chehre kī ziyā.eñ denā
hijr kī pyaas se jalte haiñ bagūloñ ke dahan
ḳhushk sahrāoñ ko zulfoñ kī ghaTā.eñ denā
yaad aate haiñ javānī ke junūñ-ḳhez ayyām
muztarib ho ke bayābāñ ko sadā.eñ denā
phir qadam kū-e-malāmat kī taraf uTThe haiñ
mire maulā mire hisse kī ḳhatā.eñ denā
jāma-zebī pe tirī varna lagegā ilzām
ishq ke paikar-e-uryāñ ko ravā.eñ denā
us kā mujh par baḌā ehsān-e-masīhā.ī hai
mere yaaro mire qātil ko duā.eñ denā
ab meri yaad ko daman ki hawaen dena
main gaya waqt hun mujh ko na sadaen dena
saKHt be-jalwa-o-be-nur hain lamhat-e-firaq
dil bahal jaega chehre ki ziyaen dena
hijr ki pyas se jalte hain bagulon ke dahan
KHushk sahraon ko zulfon ki ghaTaen dena
yaad aate hain jawani ke junun-KHez ayyam
muztarib ho ke bayaban ko sadaen dena
phir qadam ku-e-malamat ki taraf uTThe hain
mere maula mere hisse ki KHataen dena
jama-zebi pe teri warna lagega ilzam
ishq ke paikar-e-uryan ko rawaen dena
us ka mujh par baDa ehsan-e-masihai hai
mere yaro mere qatil ko duaen dena
- Book : Raqs-e-junuu.n (Pg. 98)
- Author : Zaheer Kashmiri
- Publication : Mohd Jameel-un-nabi (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.