ab misr mein kahan koi bazar moatabar
ab misr meñ kahāñ koī bāzār mo'atabar
yūsuf hī mo'atabar na ḳharīdār mo'atabar
aise meñ sochtā huuñ kise mo'atabar kahūñ
miltā nahīñ hai jab koī kirdār mo'atabar
rahzan chhupe hue haiñ pas-e-sañg-e-mīl-e-rāh
mutlaq nahīñ hai sāya-e-ashjār mo'atabar
tārīk shab hai aur larazte hue charāġh
lagte nahīñ haiñ sub.h ke āsār mo'atabar
kahne ko sarfarosh the jāñbāz the bahut
Thahre akele ham hī sar-e-dār mo'atabar
mahfil meñ ahl-e-fan bhī ye kahne lage 'habāb'
puḳhta tirā suḳhan tire ash.ār mo'atabar
ab misr mein kahan koi bazar mo'atabar
yusuf hi mo'atabar na KHaridar mo'atabar
aise mein sochta hun kise mo'atabar kahun
milta nahin hai jab koi kirdar mo'atabar
rahzan chhupe hue hain pas-e-sang-e-mil-e-rah
mutlaq nahin hai saya-e-ashjar mo'atabar
tarik shab hai aur larazte hue charagh
lagte nahin hain subh ke aasar mo'atabar
kahne ko sarfarosh the jaanbaz the bahut
Thahre akele hum hi sar-e-dar mo'atabar
mahfil mein ahl-e-fan bhi ye kahne lage 'habab'
puKHta tera suKHan tere ashaar mo'atabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.