ab motaqid-e-gardish-e-dauran na rahe hum
ab mo'taqid-e-gardish-e-daurāñ na rahe ham
qābil tire ai dīda-e-jānāñ na rahe ham
kab mil ke unheñ dil kī tamannā.eñ bar aa.iiñ
kab un se judā ho ke pareshāñ na rahe ham
ye baat digar hai ki na the rū-ba-rū un ke
kab diid kā dil meñ liye armāñ na rahe ham
qismat to zarā dekho kab aa.ī haiñ bahāreñ
jab qābil-e-gul-gasht-e-gulistāñ na rahe ham
saaqī kī nigāhoñ ne pilā dī hai kuchh aisī
jām-e-mai-e-gul-fām ke ḳhvāhāñ na rahe ham
ab dard hī rāhat sī hameñ dene lagā hai
chāragaro minnat-kash-e-darmāñ na rahe ham
'āfat' rah-e-ulfat meñ hañsī aa.ī thī ik din
ba.ad us ke kabhī ziist meñ ḳhandāñ na rahe ham
ab mo'taqid-e-gardish-e-dauran na rahe hum
qabil tere ai dida-e-jaanan na rahe hum
kab mil ke unhen dil ki tamannaen bar aain
kab un se juda ho ke pareshan na rahe hum
ye baat digar hai ki na the ru-ba-ru un ke
kab did ka dil mein liye arman na rahe hum
qismat to zara dekho kab aai hain bahaaren
jab qabil-e-gul-gasht-e-gulistan na rahe hum
saqi ki nigahon ne pila di hai kuchh aisi
jam-e-mai-e-gul-fam ke KHwahan na rahe hum
ab dard hi rahat si hamein dene laga hai
chaaragaro minnat-kash-e-darman na rahe hum
'afat' rah-e-ulfat mein hansi aai thi ek din
baad us ke kabhi zist mein KHandan na rahe hum
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 38)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.