ab mujhko dard sahne ki aadat nahin rahi
ab mujh ko dard sahne kī aadat nahīñ rahī
ye sach hai chaah se abhī chāhat nahīñ rahī
do-pal kā bhī sukūn mayassar nahīñ mujhe
taḌpā huuñ yuuñ ki chain kī hājat nahīñ rahī
dil se lagā ke yaad ko aajiz huā huuñ maiñ
ab terī yaad meñ vahī rāhat nahīñ rahī
shikve-shikāyateñ bhī karūñ kis se maiñ bhalā
jab ḳhud maiñ dekhne kī basārat nahīñ rahī
īmān-dārī se to vahī log duur haiñ
kahte haiñ jo yahāñ ki sadāqat nahīñ rahī
sab dukh tumhāre sah liye 'kāshif' ḳhushī ḳhushī
sahne kī aur mujh meñ to tāqat nahīñ rahī
ab mujh ko dard sahne ki aadat nahin rahi
ye sach hai chah se abhi chahat nahin rahi
do-pal ka bhi sukun mayassar nahin mujhe
taDpa hun yun ki chain ki hajat nahin rahi
dil se laga ke yaad ko aajiz hua hun main
ab teri yaad mein wahi rahat nahin rahi
shikwe-shikayaten bhi karun kis se main bhala
jab KHud main dekhne ki basarat nahin rahi
iman-dari se to wahi log dur hain
kahte hain jo yahan ki sadaqat nahin rahi
sab dukh tumhaare sah liye 'kashif' KHushi KHushi
sahne ki aur mujh mein to taqat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.