ab mujhse udasi teri dekhi nahin jati
ab mujh se udāsī tirī dekhī nahīñ jaatī
ye dard-shanāsī tirī dekhī nahīñ jaatī
khilte hue phūloñ kī tarah terī hañsī hai
sūrat ye ḳhafā sī tirī dekhī nahīñ jaatī
iḳhlās ke jazboñ se sajā rishta hamārā
taklīf zarā sī tirī dekhī nahīñ jaatī
lagtā hai ki vīrān sī har chiiz huī hai
badlī ye udāsī tirī dekhī nahīñ jaatī
puure hoñ tire ḳhvāb mire dil kī duā hai
ummīd ye pyāsī tirī dekhī nahīñ jaatī
ab mujh se udasi teri dekhi nahin jati
ye dard-shanasi teri dekhi nahin jati
khilte hue phulon ki tarah teri hansi hai
surat ye KHafa si teri dekhi nahin jati
iKHlas ke jazbon se saja rishta hamara
taklif zara si teri dekhi nahin jati
lagta hai ki viran si har chiz hui hai
badli ye udasi teri dekhi nahin jati
pure hon tere KHwab mere dil ki dua hai
ummid ye pyasi teri dekhi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.