ab mujhe ghair ke aaghosh mein khote hue dekh
ab mujhe ġhair ke āġhosh meñ khote hue dekh
apne hote hue ye zulm bhī hote hue dekh
lahlahātī huī ġhazloñ pe tabassum na luTā
mujh ko kāġhaz pe kabhī ashk bhī bote hue dekh
zahr hotī hai ye jaagī huī āñkhoñ kī thakan
ḳhvāb itne hī zarūrī haiñ to sote hue dekh
koī kāñdhā nahīñ miltā jinheñ un se zarā pūchh
kitnī dhu.dlī hai ye duniyā kabhī rote hue dekh
ab talak to na milā guhar-e-haqīqat koī
kitne hī ḳhvāb ke dariyāoñ meñ ġhote hue dekh
ab mujhe ghair ke aaghosh mein khote hue dekh
apne hote hue ye zulm bhi hote hue dekh
lahlahati hui ghazlon pe tabassum na luTa
mujh ko kaghaz pe kabhi ashk bhi bote hue dekh
zahr hoti hai ye jagi hui aankhon ki thakan
KHwab itne hi zaruri hain to sote hue dekh
koi kandha nahin milta jinhen un se zara puchh
kitni dhudli hai ye duniya kabhi rote hue dekh
ab talak to na mila guhar-e-haqiqat koi
kitne hi KHwab ke dariyaon mein ghote hue dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.