ab mulaqat ek kaam hui
ab mulāqāt ek kaam huī
ye mohabbat bhī yuuñ tamām huī
ham ne go ḳhuub bāñdh lī tamhīd
āḳhirash bas usī kā naam huī
ab tumheñ vaqt chāhiye vaah vaah
merī nā-vaqt jā ke ḳhaam huī
bech kar tum ne kī kharī qīmat
ḳhvāh vo dirham huī ki daam huī
maut se ḳhuub yāriyāñ gāñThīñ
tab kahīñ jā ke ziist raam huī
terī raushan jabīñ se zulfoñ tak
zindagānī kī sub.h shaam huī
zindagī hai tavīl sab ne kahā
chal ke dekhā to ek gaam huī
ab mulaqat ek kaam hui
ye mohabbat bhi yun tamam hui
hum ne go KHub bandh li tamhid
aaKHirash bas usi ka nam hui
ab tumhein waqt chahiye wah wah
meri na-waqt ja ke KHam hui
bech kar tum ne ki khari qimat
KHwah wo dirham hui ki dam hui
maut se KHub yariyan ganThin
tab kahin ja ke zist ram hui
teri raushan jabin se zulfon tak
zindagani ki subh sham hui
zindagi hai tawil sab ne kaha
chal ke dekha to ek gam hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.