ab musafir ko naya koi Thikana chahiye
ab musāfir ko nayā koī Thikāna chāhiye
ab to ġhairat ke liye koī ḳhazāna chāhiye
hākimoñ ke hukm par chalnā nahīñ hai zindagī
apnī marzī se bhī jiine kā zamāna chāhiye
bazm-e-ġham meñ raushnī kī baat karnā jurm hai
ab to saa.e meñ bhī rahne kā bahāna chāhiye
sarkashī ke daur meñ duniyā yahāñ par qaid hai
is se bachne ke liye ham ko Thikāna chāhiye
jis ko apnā maan kar rakkhā thā dil kā rāzdār
aaj vo kahtā hai mujh ko bhī fasāna chāhiye
dostoñ se ab haiñ 'maz.har' dūriyāñ hī dūriyāñ
dost haiñ saare koī apnā yagāna chāhiye
ab musafir ko naya koi Thikana chahiye
ab to ghairat ke liye koi KHazana chahiye
hakimon ke hukm par chalna nahin hai zindagi
apni marzi se bhi jine ka zamana chahiye
bazm-e-gham mein raushni ki baat karna jurm hai
ab to sae mein bhi rahne ka bahana chahiye
sarkashi ke daur mein duniya yahan par qaid hai
is se bachne ke liye hum ko Thikana chahiye
jis ko apna man kar rakkha tha dil ka raazdar
aaj wo kahta hai mujh ko bhi fasana chahiye
doston se ab hain 'mazhar' duriyan hi duriyan
dost hain sare koi apna yagana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.