ab na badlega koi karwaT jahan mere liye
ab na badlegā koī karvaT jahāñ mere liye
maut hogī bā.is-e-taskīn-e-jāñ mere liye
mere dil meñ ḳhud hai ek dariyā-e-ātish maujzan
āsmāñ pālegā kyā tū bijliyāñ mere liye
ek Tahnī bhī na chhoḌī barq ne gulzār meñ
āshiyāñ koī banā.e bhī kahāñ mere liye
sāqiyā behtar hai terī is mai-e-gul-rañg se
merī chashm-e-ġham kā jām-e-arġhavāñ mere liye
jo mazā ashkoñ ke piine meñ hai vo is meñ kahāñ
hai har ik qatra hayāt-e-jāvidāñ mere liye
ab na badlega koi karwaT jahan mere liye
maut hogi bais-e-taskin-e-jaan mere liye
mere dil mein KHud hai ek dariya-e-atish maujzan
aasman palega kya tu bijliyan mere liye
ek Tahni bhi na chhoDi barq ne gulzar mein
aashiyan koi banae bhi kahan mere liye
saqiya behtar hai teri is mai-e-gul-rang se
meri chashm-e-gham ka jam-e-arghawan mere liye
jo maza ashkon ke pine mein hai wo is mein kahan
hai har ek qatra hayat-e-jawidan mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.