ab na main hun na mera gham hai na jaan baqi hai
ab na maiñ huuñ na mirā ġham hai na jaañ baaqī hai
zindagī bas tire hone kā gumāñ baaqī hai
itnā ḳhush bhī na ho ai mujh ko jalāne vaale
dekh jal kar bhī abhī mujh meñ dhuāñ baaqī hai
merī mushkil ki maiñ ḳhud apnī zabāñ kaaT chukā
us ko ye Dar ki abhī merā bayāñ baaqī hai
kuchh to is baar bahāroñ ne bhī Dhaa.e haiñ sitam
us pe ye jabr ki mausam meñ ḳhizāñ baaqī hai
jism ke saath tamanna bhī ga.ī hasrat bhī
ab yahāñ koī makīñ hai na makāñ baaqī hai
mujh ko ab pahle sī nisbat bhī nahīñ hai tujh se
ab tujhe mujh se mohabbat bhī kahāñ baaqī hai
ab na main hun na mera gham hai na jaan baqi hai
zindagi bas tere hone ka guman baqi hai
itna KHush bhi na ho ai mujh ko jalane wale
dekh jal kar bhi abhi mujh mein dhuan baqi hai
meri mushkil ki main KHud apni zaban kaT chuka
us ko ye Dar ki abhi mera bayan baqi hai
kuchh to is bar bahaaron ne bhi Dhae hain sitam
us pe ye jabr ki mausam mein KHizan baqi hai
jism ke sath tamanna bhi gai hasrat bhi
ab yahan koi makin hai na makan baqi hai
mujh ko ab pahle si nisbat bhi nahin hai tujh se
ab tujhe mujh se mohabbat bhi kahan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.