ab na taDpae fareb-e-gham-e-hijran mujhko
ab na taḌpā.e fareb-e-ġham-e-hijrāñ mujh ko
nazar aate haiñ vo rag rag meñ ḳhirāmāñ mujh ko
jaan kar us ne charāġh-e-shab-e-hijrāñ mujh ko
kar diyā sub.h-e-azal hī se farozāñ mujh ko
ab kahāñ jā.ūñ batā gardish-e-daurāñ mujh ko
har taraf milne lagī manzil-e-jānāñ mujh ko
mujh se raushan hai har ik gosha-e-imkān-e-hayāt
phir bhī kahte haiñ charāġh-e-tah-e-dāmāñ mujh ko
duur hotā hai kahīñ dil se nasheman kā ḳhayāl
bhuul saktī hai koī barq-e-gulistāñ mujh ko ko
arsa-e-shauq pe chhātā hī chalā jaatā huuñ
le ke ubhrā hai tirā husn-e-numāyāñ mujh ko
dekhiye phir mire jazbāt-e-junūñ kī lahreñ
kah to de koī zarā nang-e-garebāñ mujh ko
aah vo dil ki jise dard kī lazzat na milī
haa.e vo dard ki jis kā huā armāñ mujh ko
maiñ vahī rāz-e-haqīqat huuñ ki barsoñ 'bāsit'
parda-e-kufr meñ DhūñDā kiyā īmāñ mujh ko
ab na taDpae fareb-e-gham-e-hijran mujh ko
nazar aate hain wo rag rag mein KHiraman mujh ko
jaan kar us ne charagh-e-shab-e-hijran mujh ko
kar diya subh-e-azal hi se farozan mujh ko
ab kahan jaun bata gardish-e-dauran mujh ko
har taraf milne lagi manzil-e-jaanan mujh ko
mujh se raushan hai har ek gosha-e-imkan-e-hayat
phir bhi kahte hain charagh-e-tah-e-daman mujh ko
dur hota hai kahin dil se nasheman ka KHayal
bhul sakti hai koi barq-e-gulistan mujh ko ko
arsa-e-shauq pe chhata hi chala jata hun
le ke ubhra hai tera husn-e-numayan mujh ko
dekhiye phir mere jazbaat-e-junun ki lahren
kah to de koi zara nang-e-gareban mujh ko
aah wo dil ki jise dard ki lazzat na mili
hae wo dard ki jis ka hua arman mujh ko
main wahi raaz-e-haqiqat hun ki barson 'basit'
parda-e-kufr mein DhunDa kiya iman mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.