ab nahin koi Thikana apna
ab nahīñ koī Thikānā apnā
dost hai tū na zamāna apnā
chāhateñ haiñ na vo yādeñ baaqī
luT gayā haa.e ḳhazāna apnā
apnā hamdard na mūnis koī
aaj dushman hai zamāna apnā
thī kabhī shahr meñ us kī shohrat
sab se ūñchā thā gharānā apnā
rūThnā ham se vo us kā pal pal
har ghaḌī us ko manānā apnā
phir huī us kī tamannā paidā
phir kahā dil ne na maanā apnā
shā'irī ne kiyā rusvā 'ḳhusrav'
ho gayā 'aam fasāna apnā
ab nahin koi Thikana apna
dost hai tu na zamana apna
chahaten hain na wo yaaden baqi
luT gaya hae KHazana apna
apna hamdard na munis koi
aaj dushman hai zamana apna
thi kabhi shahr mein us ki shohrat
sab se uncha tha gharana apna
ruThna hum se wo us ka pal pal
har ghaDi us ko manana apna
phir hui us ki tamanna paida
phir kaha dil ne na mana apna
sha'iri ne kiya ruswa 'KHusraw'
ho gaya 'am fasana apna
- Book : siip (Magzin) (Pg. 262)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.