ab nibhani hi paDegi dosti jaisi bhi hai
ab nibhānī hī paḌegī dostī jaisī bhī hai
aap jaise bhī haiñ niyyat aap kī jaisī bhī hai
khul chukī haiñ us ke ghar kī khiḌkiyāñ mere liye
ruḳh mirī jānib rahegā be-ruḳhī jaisī bhī hai
choTiyāñ chhū kar guzarte haiñ baraste kyuuñ nahīñ
bādaloñ kī ek sūrat aadmī jaisī bhī hai
ajnabī shahroñ meñ tujh ko DhūñDhtā huuñ jis tarah
ik galī har shahr meñ terī galī jaisī bhī hai
aaj ke dukh hī bahut haiñ bīm-e-fardā kis liye
kaT hī jā.egī aziyyat kī ghaḌī jaisī bhī hai
dhuñdlā dhuñdlā hī sahī rasta dikhā.ī to diyā
aaj kā din hai ġhanīmat raushnī jaisī bhī hai
jhūltī hai mere dil meñ ek shāḳh us peḌ kī
vo tar-o-tāza hai yā sūkhī huī jaisī bhī hai
maiñ ne dekhā hai falak ko jāgte sote hue
merī āñkhoñ tak to aa.ī chāñdnī jaisī bhī hai
ab kahāñ le jaa.eñ sāñsoñ kī sulagtī aag ko
zindagī hai zindagī achchhī burī jaisī bhī hai
koī mausam ho mirī ḳhushbū rahe is phuul meñ
dāstāñ merī kahī yā an-kahī jaisī bhī hai
apnā haq 'shahzād' ham chhīneñge māñgeñge nahīñ
rahm kī tālib nahīñ be-chārgī jaisī bhī hai
ab nibhani hi paDegi dosti jaisi bhi hai
aap jaise bhi hain niyyat aap ki jaisi bhi hai
khul chuki hain us ke ghar ki khiDkiyan mere liye
ruKH meri jaanib rahega be-ruKHi jaisi bhi hai
choTiyan chhu kar guzarte hain baraste kyun nahin
baadalon ki ek surat aadmi jaisi bhi hai
ajnabi shahron mein tujh ko DhunDhta hun jis tarah
ek gali har shahr mein teri gali jaisi bhi hai
aaj ke dukh hi bahut hain bim-e-farda kis liye
kaT hi jaegi aziyyat ki ghaDi jaisi bhi hai
dhundla dhundla hi sahi rasta dikhai to diya
aaj ka din hai ghanimat raushni jaisi bhi hai
jhulti hai mere dil mein ek shaKH us peD ki
wo tar-o-taza hai ya sukhi hui jaisi bhi hai
main ne dekha hai falak ko jagte sote hue
meri aankhon tak to aai chandni jaisi bhi hai
ab kahan le jaen sanson ki sulagti aag ko
zindagi hai zindagi achchhi buri jaisi bhi hai
koi mausam ho meri KHushbu rahe is phul mein
dastan meri kahi ya an-kahi jaisi bhi hai
apna haq 'shahzad' hum chhinenge mangenge nahin
rahm ki talib nahin be-chaargi jaisi bhi hai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 533)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.