ab qabu mein dil kyun aae ab aankhon mein dam kyon Thahre
ab qaabū meñ dil kyuuñ aa.e ab āñkhoñ meñ dam kyoñ Thahre
jis bastī meñ vo rahtā thā us bastī meñ ham kyuuñ Thahre
jo ras aur bū se aarī ho jis phuul kī dhuup se yaarī ho
us phuul pe bhañvrā kyuuñ Dole us phuul pe shabnam kyuuñ Thahre
kyuuñ vaid hakīm badalte ho kyuuñ kuḌhte ho kyuuñ jalte ho
risnā hī muqaddar ho jis kā us zaḳhm pe marham kyuuñ Thahre
ham ranj-pasandoñ ġham-ḳhvāroñ shorīda-saroñ ke kahne par
aa.ī huī rut kyuuñ ruk jaa.e jaatā huā mausam kyuuñ Thahre
jo motī us kī palkoñ par jhalkeñ vo kyuuñ anmol baneñ
jo chhalkeñ hamārī āñkhoñ se qīmat un kī kam kyuuñ Thahre
patjhaḌ meñ mausam-e-gul meñ bhī rone par bhī hañsne par bhī
ham log hī kyuuñ zanjīr hue ham log hī mulzim kyuuñ Thahre
jab shahr meñ mujh jaise ḳhush-go ġham-parvar aur bhī haiñ us ko
kyuuñ aa.e 'nazar' dar merā hī ghar mere har ġham kyuuñ Thahre
ab qabu mein dil kyun aae ab aankhon mein dam kyon Thahre
jis basti mein wo rahta tha us basti mein hum kyun Thahre
jo ras aur bu se aari ho jis phul ki dhup se yari ho
us phul pe bhanwra kyun Dole us phul pe shabnam kyun Thahre
kyun waid hakim badalte ho kyun kuDhte ho kyun jalte ho
risna hi muqaddar ho jis ka us zaKHm pe marham kyun Thahre
hum ranj-pasandon gham-KHwaron shorida-saron ke kahne par
aai hui rut kyun ruk jae jata hua mausam kyun Thahre
jo moti us ki palkon par jhalken wo kyun anmol banen
jo chhalken hamari aankhon se qimat un ki kam kyun Thahre
patjhaD mein mausam-e-gul mein bhi rone par bhi hansne par bhi
hum log hi kyun zanjir hue hum log hi mulzim kyun Thahre
jab shahr mein mujh jaise KHush-go gham-parwar aur bhi hain us ko
kyun aae 'nazar' dar mera hi ghar mere har gham kyun Thahre
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 245)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.