ab safar KHatm hua aur wo laga achchha ab
ab safar ḳhatm huā aur vo lagā achchhā ab
us ne yuuñ dekhā mujhe jaise kahā achchhā ab
us ne kī hai na.ī tārīḳh mulāqāt kī tai
aur tai maiñ ne kiyā hai ki nahīñ milnā ab
koī rishta hī nahīñ ham-safarī kā rishta
yuuñ bhī rishtoñ ko nibhāne meñ hai kyā rakkhā ab
vo chalā jaa.e bahut duur koī baat nahīñ
mirī palkoñ se na barsegā koī chehra ab
jaane kis shahr-e-tilismāt se lauTā 'sābir'
apne har sher meñ likhtā hai nayā qissa ab
ab safar KHatm hua aur wo laga achchha ab
us ne yun dekha mujhe jaise kaha achchha ab
us ne ki hai nai tariKH mulaqat ki tai
aur tai main ne kiya hai ki nahin milna ab
koi rishta hi nahin ham-safari ka rishta
yun bhi rishton ko nibhane mein hai kya rakkha ab
wo chala jae bahut dur koi baat nahin
meri palkon se na barsega koi chehra ab
jaane kis shahr-e-tilismat se lauTa 'sabir'
apne har sher mein likhta hai naya qissa ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.