ab sarab ke chashme maujzan nahin hote
ab sarāb ke chashme maujzan nahīñ hote
ḳhushk ho ga.e shāyad tishnagī ke sab sote
niiñd meñ bhī chādar kā itnā paas hai tum ko
kuchh to paañv phailāo is tarah nahīñ sote
kaisī raat aa.ī hai niiñd uḌ ga.ī sab kī
manzileñ thapaktī haiñ qāfile nahīñ sote
ḳhvāb ḳhud haqīqat haiñ aañkh khol kar dekho
kis ne kah diyā tum se ḳhvāb sach nahīñ hote
chaak ho gayā dāman haath ho ga.e zaḳhmī
ek dāġh-e-rusvā.ī aur kis tarah dhote
girya-o-tabassum to haiñ naqāb chehroñ ke
aa.ine nahīñ hañste aa.ine nahīñ rote
ab sarab ke chashme maujzan nahin hote
KHushk ho gae shayad tishnagi ke sab sote
nind mein bhi chadar ka itna pas hai tum ko
kuchh to panw phailao is tarah nahin sote
kaisi raat aai hai nind uD gai sab ki
manzilen thapakti hain qafile nahin sote
KHwab KHud haqiqat hain aankh khol kar dekho
kis ne kah diya tum se KHwab sach nahin hote
chaak ho gaya daman hath ho gae zaKHmi
ek dagh-e-ruswai aur kis tarah dhote
girya-o-tabassum to hain naqab chehron ke
aaine nahin hanste aaine nahin rote
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 207)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.