ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha
ab se pahle vo mirī zaat pe taarī to na thā
dil meñ rahtā thā magar ḳhuun meñ jaarī to na thā
nabz chaltī hai to qadmoñ kī sadā aatī hai
is qadar zaḳhm-e-judā.ī kabhī kaarī to na thā
vo to bādal kā barasnā hai anāsir kā usuul
varna ashkoñ kā namak aañkh pe bhārī to na thā
dil meñ khilte haiñ tirī yaad ke e.ajāz se phuul
is meñ kuchh shā.iba-e-bād-e-bahārī to na thā
ye bhī andar kā koī rog hai varna ham ko
umr-bhar hausla-e-nāla-o-zārī to na thā
ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha
dil mein rahta tha magar KHun mein jari to na tha
nabz chalti hai to qadmon ki sada aati hai
is qadar zaKHm-e-judai kabhi kari to na tha
wo to baadal ka barasna hai anasir ka usul
warna ashkon ka namak aankh pe bhaari to na tha
dil mein khilte hain teri yaad ke eajaz se phul
is mein kuchh shaiba-e-baad-e-bahaari to na tha
ye bhi andar ka koi rog hai warna hum ko
umr-bhar hausla-e-nala-o-zari to na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.