ab shahr mein kahan rahe wo ba-waqar log
Interesting Fact
(Shakhsaar, Cuttack)
ab shahr meñ kahāñ rahe vo bā-vaqār log
mil kar ḳhud apne-āp se haiñ sharmsār log
hāthoñ meñ vaqt ke to koī sañg bhī na thā
kyuuñ TuuT kar bikhar ga.e ā.īna-vār log
apne dukhoñ pe tanz koī khel to na thā
zaḳhmoñ ko phuul kah ga.e ham vaz.a-dār log
baiThe haiñ rañg rañg ujāle tarāshne
rakh kar lahū kī sham.a sar-e-rahguzār log
kuchh sādgī-e-tab.a thī kuchh maslahat kā jabr
kāñToñ ko pūjte rahe bāġh-o-bahār log
āb-o-havā-e-shahr junūñ-ḳhez thī bahut
dāman nahīñ the phir bhī hue taar taar log
phūñkā hameñ to narm shagūfoñ kī os ne
jiite haiñ kaise dil meñ chhupā kar sharār log
ab shahr mein kahan rahe wo ba-waqar log
mil kar KHud apne-ap se hain sharmsar log
hathon mein waqt ke to koi sang bhi na tha
kyun TuT kar bikhar gae aaina-war log
apne dukhon pe tanz koi khel to na tha
zaKHmon ko phul kah gae hum waza-dar log
baiThe hain rang rang ujale tarashne
rakh kar lahu ki shama sar-e-rahguzar log
kuchh sadgi-e-taba thi kuchh maslahat ka jabr
kanTon ko pujte rahe bagh-o-bahaar log
aab-o-hawa-e-shahr junun-KHez thi bahut
daman nahin the phir bhi hue tar tar log
phunka hamein to narm shagufon ki os ne
jite hain kaise dil mein chhupa kar sharar log
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 81)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.