ab shikayat kya karen guzre hue tufan se
ab shikāyat kyā kareñ guzre hue tūfān se
raushnī aane lagī hai phir se raushan-dān se
ḳhvāhishoñ kī arthiyāñ ab to uTheñgī shaan se
dil lagā baiThī hai merī muflisī dhanvān se
chhū gayā jo bhuul se un ke dupaTTe kā sirā
ḳhushbueñ aane lagīñ sūkhe hue gul-dān se
zehn par duniyā kī lālach phir se haavī ho ga.ī
de ke miTTī maiñ abhī lauTā thā qabristān se
gar vafādārī kī ḳhvāhish hai to kutte paal le
mat vafā kī aas rakh is daur ke insān se
shart ye hai kuchh zamīñ bone kī ḳhātir to mile
jiit lūñgā maiñ jahāñ ko ek muTThī dhaan se
chheḌtī hai yaad terī jab mujhe pichhle pahar
rone lagtā huuñ maiñ lag ke 'mīr' ke dīvān se
jin ko ho jām-e-shahādat kī talab 'dīdār' phir
vo nahīñ aate palaT kar jang ke maidān se
ab shikayat kya karen guzre hue tufan se
raushni aane lagi hai phir se raushan-dan se
KHwahishon ki arthiyan ab to uThengi shan se
dil laga baiThi hai meri muflisi dhanwan se
chhu gaya jo bhul se un ke dupaTTe ka sira
KHushbuen aane lagin sukhe hue gul-dan se
zehn par duniya ki lalach phir se hawi ho gai
de ke miTTi main abhi lauTa tha qabristan se
gar wafadari ki KHwahish hai to kutte pal le
mat wafa ki aas rakh is daur ke insan se
shart ye hai kuchh zamin bone ki KHatir to mile
jit lunga main jahan ko ek muTThi dhan se
chheDti hai yaad teri jab mujhe pichhle pahar
rone lagta hun main lag ke 'mir' ke diwan se
jin ko ho jam-e-shahadat ki talab 'didar' phir
wo nahin aate palaT kar jang ke maidan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.