ab tahaffuz nahin hai jaanon ka
ab tahaffuz nahīñ hai jānoñ kā
ye hai ehsān hukmarānoñ kā
bhuuk iflās aur bīmārī
mas.ala hai ka.ī gharānoñ kā
saarī bastī nigal gayā tūfāñ
kyā chalegā patā makānoñ kā
ho gayā kitnā lālchī insāñ
ban gayā saañp vo ḳhazānoñ kā
tolte haiñ paroñ ko vo apne
ilm jin ko nahīñ uḌānoñ kā
sirf baaqī rahā kitāboñ meñ
zikr ab shāhī ḳhāndānoñ kā
chāhte ho 'vaqār' āzādī
fidya denā paḌegā jānoñ kā
ab tahaffuz nahin hai jaanon ka
ye hai ehsan hukmaranon ka
bhuk iflas aur bimari
masala hai kai gharanon ka
sari basti nigal gaya tufan
kya chalega pata makanon ka
ho gaya kitna lalchi insan
ban gaya sanp wo KHazanon ka
tolte hain paron ko wo apne
ilm jin ko nahin uDanon ka
sirf baqi raha kitabon mein
zikr ab shahi KHandanon ka
chahte ho 'waqar' aazadi
fidya dena paDega jaanon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.