ab tak jo baqaya hai ada kar do sabhi ab achchha hai yahi ab
ab tak jo baqaya hai ada kar do sabhi ab achchha hai yahi ab
Shamim Abbas
MORE BYShamim Abbas
ab tak jo baqāyā hai adā kar do sabhī ab achchhā hai yahī ab
vo bāteñ mulāqāteñ ka.ī rāteñ mirī ab sab aaj abhī ab
sur meñ tire sur apnā koī kaahe milā.e jo khaa.e vo gaa.e
chaltī jo chalī aa.ī na chalne kī tirī ab hai baarī mirī ab
chāhā na milā jo nahīñ chāhā milā aksar hiirā ho ki patthar
har maal nirā khoTā kharī dhokā dhaḌī ab hai kis ko paḌī ab
anhonī pe jab ro.eñ to DapTe kabhī DāñTe aur falsafa chhāñTe
āvāzeñ sabhī ḳhauf-zada sahmī Darī ab ab gaaj girī ab
dam sādhe zabāñ bāñdhe kabhī sar na uThā.eñ jhukte chale jaa.eñ
nākāra huī poch sī ye soch tirī ab chal soch na.ī ab
sach mujh se suno sach kī tumheñ jitnī bhanak hai aaTe meñ namak hai
muñh khulte hī khul jā.egī saarī qal.ī ab had ho bhī chukī ab
kyā kuchh huuñ bhalī bhāñti mujhe jānte sab haiñ par mānte kab haiñ
lo chamkā damak uThā jūñhī gard chhaTī ab āñkheñ haiñ phaTī ab
maiñ ā.ūñgā chhā jā.ūñgā raste meñ kahīñ huuñ maiñ haq huuñ yaqīñ huuñ
sukh jheleñgī āñkheñ sabhī barsoñ kī jagī ab aur dil kī lagī ab
ab tak jo baqaya hai ada kar do sabhi ab achchha hai yahi ab
wo baaten mulaqaten kai raaten meri ab sab aaj abhi ab
sur mein tere sur apna koi kahe milae jo khae wo gae
chalti jo chali aai na chalne ki teri ab hai bari meri ab
chaha na mila jo nahin chaha mila aksar hira ho ki patthar
har mal nira khoTa khari dhoka dhaDi ab hai kis ko paDi ab
anhoni pe jab roen to DapTe kabhi DanTe aur falsafa chhanTe
aawazen sabhi KHauf-zada sahmi Dari ab ab gaj giri ab
dam sadhe zaban bandhe kabhi sar na uThaen jhukte chale jaen
nakara hui poch si ye soch teri ab chal soch nai ab
sach mujh se suno sach ki tumhein jitni bhanak hai aaTe mein namak hai
munh khulte hi khul jaegi sari qali ab had ho bhi chuki ab
kya kuchh hun bhali bhanti mujhe jaante sab hain par mante kab hain
lo chamka damak uTha junhi gard chhaTi ab aankhen hain phaTi ab
main aaunga chha jaunga raste mein kahin hun main haq hun yaqin hun
sukh jhelengi aankhen sabhi barson ki jagi ab aur dil ki lagi ab
- Book : Par Khule Toe (Pg. 19)
- Author : Shamim Abbas
- Publication : Qalam Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.