ab tak jo dur hai wo riyazat safar mein hai
ab tak jo duur hai vo riyāzat safar meñ hai
manzil qarīb-tar hai magar ik bhañvar meñ hai
dukh dard 'ishq aas kā partav huuñ maiñ sanam
aañsū ḳhushī jafā kā asar mujh shajar meñ hai
ye jo panap rahī hai mohabbat diloñ meñ yaar
ye jism kī talab hai jo har ik nagar meñ hai
is qadr baḌh ga.ī hai havas mard meñ ki ab
'izzat kī fikr hai to tavā.if ki Dar meñ hai
ye jhuuT bolnā bhī nafāsat kā kaam hai
aur ye hunar faqat mire maulā bashar meñ hai
bachpan meñ jis za.īfa ko dekhā thā chāñd meñ
vo ab bhī charḳha kaat rahī hai qamar meñ hai
har daur ke luTere ne luuTā hai ye vatan
par is ko kyā ḳhabar vo hamārī ḳhabar meñ hai
ab tak jo dur hai wo riyazat safar mein hai
manzil qarib-tar hai magar ek bhanwar mein hai
dukh dard 'ishq aas ka partaw hun main sanam
aansu KHushi jafa ka asar mujh shajar mein hai
ye jo panap rahi hai mohabbat dilon mein yar
ye jism ki talab hai jo har ek nagar mein hai
is qadr baDh gai hai hawas mard mein ki ab
'izzat ki fikr hai to tawaif ki Dar mein hai
ye jhuT bolna bhi nafasat ka kaam hai
aur ye hunar faqat mere maula bashar mein hai
bachpan mein jis zaifa ko dekha tha chand mein
wo ab bhi charKHa kat rahi hai qamar mein hai
har daur ke luTere ne luTa hai ye watan
par is ko kya KHabar wo hamari KHabar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.