ab tak the wabasta jo alfaz ke tanon-banon se
ab tak the vābasta jo alfāz ke tānoñ-bānoñ se
apnī qīmat maañg rahe haiñ be-qadre insānoñ se
maujoñ ke qirtās pe dekho dast-e-qudrat kā aalam
ek maqāla likhtā hai vo kitne hī unvānoñ se
jab se hai siine ke andar har-sū taarī sannāTā
vahshat hai na ḳhauf rahā hai is dil ko vīrānoñ se
kitne hī ḳhurshīd agarche ummīdoñ ke Duub chuke
ek diyā rakkhā hai raushan laḌne ko tūfānoñ se
us kī yādoñ se tum ab tak muñh ko pher ke baiThe ho
aise kab rūThā karte haiñ ghar aa.e mehmānoñ se
us ne bhī halqe meñ apne farzānoñ ko DhūñD liyā
ham ne bhī kar lī hai sangat sahrā meñ dīvānoñ se
ham to patthar kī bastī meñ shīshoñ ke rakhvāle haiñ
zaḳhmoñ kī ta.adād na pūchho ham jaise nā-dānoñ se
miTTī meñ dafnā kar aise jhaaḌ rahe haiñ haath sabhī
bojh utārā hai rishtoñ kā jaise apne shānoñ se
rindoñ se ab maiḳhāne kā pūchho na ahvāl 'shakīl'
rishta jab tum toḌ chuke ho saaqī se paimānoñ se
ab tak the wabasta jo alfaz ke tanon-banon se
apni qimat mang rahe hain be-qadre insanon se
maujon ke qirtas pe dekho dast-e-qudrat ka aalam
ek maqala likhta hai wo kitne hi unwanon se
jab se hai sine ke andar har-su tari sannaTa
wahshat hai na KHauf raha hai is dil ko viranon se
kitne hi KHurshid agarche ummidon ke Dub chuke
ek diya rakkha hai raushan laDne ko tufanon se
us ki yaadon se tum ab tak munh ko pher ke baiThe ho
aise kab ruTha karte hain ghar aae mehmanon se
us ne bhi halqe mein apne farzanon ko DhunD liya
hum ne bhi kar li hai sangat sahra mein diwanon se
hum to patthar ki basti mein shishon ke rakhwale hain
zaKHmon ki tadad na puchho hum jaise na-danon se
miTTi mein dafna kar aise jhaD rahe hain hath sabhi
bojh utara hai rishton ka jaise apne shanon se
rindon se ab maiKHane ka puchho na ahwal 'shakil'
rishta jab tum toD chuke ho saqi se paimanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.