ab taKHayyul mein hi taswir banani hai mujhe
ab taḳhayyul meñ hī tasvīr banānī hai mujhe
ya.anī tadbīr se taqdīr banānī hai mujhe
rizq kaisā hai muqaddar meñ likhā kyā hai mire
kyā isī fan se hī jāgīr banānī hai mujhe
kitnī qātil hai tirī āñkheñ patā hai tujh ko
terī āñkhoñ ko hī shamshīr banānī hai mujhe
terī yādoñ ne hī toḌī hai ḳhamoshī merī
maiñ to samjhā thā ki zanjīr banānī hai mujhe
jāgtī aañkh se ik ḳhvāb koī dekhā thā
kyā isī ḳhvāb kī ta.abīr banānī hai mujhe
ab taKHayyul mein hi taswir banani hai mujhe
yani tadbir se taqdir banani hai mujhe
rizq kaisa hai muqaddar mein likha kya hai mere
kya isi fan se hi jagir banani hai mujhe
kitni qatil hai teri aankhen pata hai tujh ko
teri aankhon ko hi shamshir banani hai mujhe
teri yaadon ne hi toDi hai KHamoshi meri
main to samjha tha ki zanjir banani hai mujhe
jagti aankh se ek KHwab koi dekha tha
kya isi KHwab ki tabir banani hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.