ab talak Thahri hui hai zindagi apni jagah
ab talak Thahrī huī hai zindagī apnī jagah
mujh se kab hañs kar milī hai zindagī apnī jagah
āñsuoñ ko le ke āñkhoñ meñ kabhī muskātī hai
aur kabhī gul sā khilī hai zindagī apnī jagah
dash-e-sahrā meñ guzar kā koī paimāna nahīñ
vahshatoñ kī āgahī hai zindagī apnī jagah
dekh lo kitnā farebī hai shikārī kī ye chaal
yuuñ bisātoñ sī bichhī hai zindagī apnī jagah
niiñd se bedār hote hī huī roTī kī chaah
āñchaloñ meñ so ga.ī hai zindagī apnī jagah
vasl pal-bhar kā 'shaġhaf' detā hai furqat 'umr kī
dard-e-dil meñ kho ga.ī hai zindagī apnī jagah
ab talak Thahri hui hai zindagi apni jagah
mujh se kab hans kar mili hai zindagi apni jagah
aansuon ko le ke aankhon mein kabhi muskati hai
aur kabhi gul sa khili hai zindagi apni jagah
dash-e-sahra mein guzar ka koi paimana nahin
wahshaton ki aagahi hai zindagi apni jagah
dekh lo kitna farebi hai shikari ki ye chaal
yun bisaton si bichhi hai zindagi apni jagah
nind se bedar hote hi hui roTi ki chah
aanchalon mein so gai hai zindagi apni jagah
wasl pal-bhar ka 'shaghaf' deta hai furqat 'umr ki
dard-e-dil mein kho gai hai zindagi apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.