ab tamasha hi tamasha hai har ek su jaanan
ab tamāshā hī tamāshā hai har ik sū jānāñ
sab but-o-but-gar-o-but-zād haiñ ham-ḳhū jānāñ
gulshan-e-izn-e-ḳhudā meñ hai har ik sū mātam
bulbuleñ marg-nashīñ zaaġh haiñ kū-kū jānāñ
kaun kahtā hai mohabbat ke chalan haiñ baaqī
bāġh-e-ḳhākī meñ huā har koī do-rū jānāñ
hai chalī ab ke yahāñ aisī havā-e-masmūm
hai taḌaptā dil-e-maġhmūm ho ḳhushbū jānāñ
daur guzre haiñ bahut tishna-e-ḳhūn-e-ādam
aur nikle haiñ ta'affun se vo bad-rū jānāñ
'āhan'-e-ramz-gushā-e-ġham-e-afkār-o-junūñ
haa.e karte hue kahtā hai vo hū-hū jānāñ
ab tamasha hi tamasha hai har ek su jaanan
sab but-o-but-gar-o-but-zad hain ham-KHu jaanan
gulshan-e-izn-e-KHuda mein hai har ek su matam
bulbulen marg-nashin zagh hain ku-ku jaanan
kaun kahta hai mohabbat ke chalan hain baqi
bagh-e-KHaki mein hua har koi do-ru jaanan
hai chali ab ke yahan aisi hawa-e-masmum
hai taDapta dil-e-maghmum ho KHushbu jaanan
daur guzre hain bahut tishna-e-KHun-e-adam
aur nikle hain ta'affun se wo bad-ru jaanan
'ahan'-e-ramz-gusha-e-gham-e-afkar-o-junun
hae karte hue kahta hai wo hu-hu jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.