ab tegh ki baaten hain na talwar ki baaten
ab teġh kī bāteñ haiñ na talvār kī bāteñ
karte nahīñ dīvāne bhī ab daar kī bāteñ
har haath masīhā hai to har god hai mariyam
bīmār samajh lete haiñ bīmār kī bāteñ
kahte haiñ magar ġhair se afsāna-e-jānāñ
jānāñ se kiye jaate haiñ aġhyār kī bāteñ
ādāb-e-rifāqat se shanāsā huī jab se
bulbul ne aqīdat se sunī ḳhaar kī bāteñ
tapte hue sūraj ke tale ūñghtā bachcha
karte raho us se gul o ashjār kī bāteñ
pāband-e-salāsil hai use khul ke sunāo
zanjīr ke qisse kabhī jhankār kī bāteñ
rakh rakh ke tarāzū meñ mirā daftar-e-a.amāl
toleñge gunahgār gunahgār kī bāteñ
ḳhāmoshī meñ pinhāñ hai mire dard kī āvāz
bātoñ se alāva haiñ dil-e-zār kī bāteñ
ab tegh ki baaten hain na talwar ki baaten
karte nahin diwane bhi ab dar ki baaten
har hath masiha hai to har god hai mariyam
bimar samajh lete hain bimar ki baaten
kahte hain magar ghair se afsana-e-jaanan
jaanan se kiye jate hain aghyar ki baaten
aadab-e-rifaqat se shanasa hui jab se
bulbul ne aqidat se suni KHar ki baaten
tapte hue suraj ke tale unghta bachcha
karte raho us se gul o ashjar ki baaten
paband-e-salasil hai use khul ke sunao
zanjir ke qisse kabhi jhankar ki baaten
rakh rakh ke taraazu mein mera daftar-e-amal
tolenge gunahgar gunahgar ki baaten
KHamoshi mein pinhan hai mere dard ki aawaz
baaton se alawa hain dil-e-zar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.