ab tir-e-sitam dil pe jo chal jae to achchha
ab tīr-e-sitam dil pe jo chal jaa.e to achchhā
hasrat mire qātil kī nikal jaa.e to achchhā
aanā hai to aa jaao ki phir ham na mileñge
kuchh din dil-e-dīvāna sañbhal jaa.e to achchhā
hai maut to bar-haq magar us shoḳh kī ḳhātir
kuchh din ke liye aur jo Tal jaa.e to achchhā
piine do mujhe aaj mirā haath na roko
ye jaan ab is tan se nikal jaa.e to achchhā
ab us ke sitam hoñ ki karam yaad na kiije
ye hijr kī shab hai yūñhī Tal jaa.e to achchhā
saaqī se hameñ koī shikāyat nahīñ lekin
maiḳhāne kā dastūr badal jaa.e to achchhā
ik umr 'ayāz' us kī tamanna meñ kaTī hai
ab rang-e-tabī.at jo badal jaa.e to achchhā
ab tir-e-sitam dil pe jo chal jae to achchha
hasrat mere qatil ki nikal jae to achchha
aana hai to aa jao ki phir hum na milenge
kuchh din dil-e-diwana sanbhal jae to achchha
hai maut to bar-haq magar us shoKH ki KHatir
kuchh din ke liye aur jo Tal jae to achchha
pine do mujhe aaj mera hath na roko
ye jaan ab is tan se nikal jae to achchha
ab us ke sitam hon ki karam yaad na kije
ye hijr ki shab hai yunhi Tal jae to achchha
saqi se hamein koi shikayat nahin lekin
maiKHane ka dastur badal jae to achchha
ek umr 'ayaz' us ki tamanna mein kaTi hai
ab rang-e-tabiat jo badal jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.