ab tere hijr mein ek pal na guzara jae
ab tere hijr mein ek pal na guzara jae
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
ab tire hijr meñ ik pal na guzārā jaa.e
ye na ho qais tirā dasht meñ maarā jaa.e
un ke dil aur zabāñ narm huā karte haiñ
dasht vāloñ ko mohabbat se pukārā jaa.e
mujh ko manzil pe nahīñ aur kahīñ jaanā hai
mujh ko manzil se bahut duur utārā jaa.e
zindagī hai mire mahbūb aziyyat vaalī
ye tirī zulf nahīñ jis ko sañvārā jaa.e
jī to kartā hai ki āñkhoñ meñ muqayyad kar luuñ
merī āñkhoñ se na mahrūm nazārā jaa.e
ye jo ashkoñ kā samundar nazar aatā hai ise
aañkh kī sāhilī paTTī pe utārā jaa.e
phir bhī rahtī hai kamī nok-palak meñ baaqī
vo ġhazal jaisā badan jitnā sañvārā jaa.e
un ke ehsān zamāne pe bahut haiñ 'jāmī'
koī bhī phal na daraḳhtoñ se utārā jaa.e
ab tere hijr mein ek pal na guzara jae
ye na ho qais tera dasht mein mara jae
un ke dil aur zaban narm hua karte hain
dasht walon ko mohabbat se pukara jae
mujh ko manzil pe nahin aur kahin jaana hai
mujh ko manzil se bahut dur utara jae
zindagi hai mere mahbub aziyyat wali
ye teri zulf nahin jis ko sanwara jae
ji to karta hai ki aankhon mein muqayyad kar lun
meri aankhon se na mahrum nazara jae
ye jo ashkon ka samundar nazar aata hai ise
aankh ki sahili paTTi pe utara jae
phir bhi rahti hai kami nok-palak mein baqi
wo ghazal jaisa badan jitna sanwara jae
un ke ehsan zamane pe bahut hain 'jami'
koi bhi phal na daraKHton se utara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.