ab tere lams ko yaad karne ka ek silsila aur diwana-pan rah gaya
ab tere lams ko yaad karne ka ek silsila aur diwana-pan rah gaya
Irfan Sattar
MORE BYIrfan Sattar
ab tire lams ko yaad karne kā ik silsila aur dīvāna-pan rah gayā
tū kahīñ kho gayā aur pahlū meñ terī shabāhat liye ik badan rah gayā
vo sarāpā tirā vo tire ḳhāl-o-ḳhad merī yādoñ meñ sab muntashir ho ga.e
lafz kī justujū meñ laraztā huā nīm-vā sā faqat ik dahan rah gayā
harf ke harf se kyā tazādāt haiñ tū ne bhī kuchh kahā maiñ ne bhī kuchh kahā
tere pahlū meñ duniyā simaTtī ga.ī mere hisse meñ harf-e-suḳhan rah gayā
tere jaane se mujh par ye uqda khulā rañg-o-ḳhushbū to bas terī mīrās the
ek hasrat sajī rah ga.ī gul-ba-gul ek mātam chaman-dar-chaman rah gayā
ek be-nām ḳhvāhish kī pādāsh meñ terī palkeñ bhī bāham piro dī ga.iiñ
ek vahshat ko sairāb karte hue meñ bhī āñkhoñ meñ le kar thakan rah gayā
arsa-e-ḳhvāb se vaqt maujūd ke rāste meñ gañvā dī ga.ī guftugū
ek isrār kī bebasī rah ga.ī ek inkār kā bāñkpan rah gayā
tū sitāroñ ko apnī jilau meñ liye jā rahā thā tujhe kyā ḳhabar kyā huā
ik tamannā darīche meñ baiThī rahī ek bistar kahīñ be-shikan rah gayā
ab tere lams ko yaad karne ka ek silsila aur diwana-pan rah gaya
tu kahin kho gaya aur pahlu mein teri shabahat liye ek badan rah gaya
wo sarapa tera wo tere KHal-o-KHad meri yaadon mein sab muntashir ho gae
lafz ki justuju mein larazta hua nim-wa sa faqat ek dahan rah gaya
harf ke harf se kya tazadat hain tu ne bhi kuchh kaha main ne bhi kuchh kaha
tere pahlu mein duniya simaTti gai mere hisse mein harf-e-suKHan rah gaya
tere jaane se mujh par ye uqda khula rang-o-KHushbu to bas teri miras the
ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek matam chaman-dar-chaman rah gaya
ek be-nam KHwahish ki padash mein teri palken bhi baham piro di gain
ek wahshat ko sairab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gaya
arsa-e-KHwab se waqt maujud ke raste mein ganwa di gai guftugu
ek israr ki bebasi rah gai ek inkar ka bankpan rah gaya
tu sitaron ko apni jilau mein liye ja raha tha tujhe kya KHabar kya hua
ek tamanna dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gaya
- Book : Takrar-e-saa.at (Pg. 57)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.