ab tere lauTne ki aas nahin
ab tire lauTne kī aas nahīñ
is liye bhī ye dil udaas nahīñ
kuchh nahīñ chāhiye kisī se mujhe
aur kuchh bhī kisī ke paas nahīñ
jitnī bechārgī hai lahje meñ
hukm samjhūñgā iltimās nahīñ
sabr kā phal to mil gayā hai mujhe
lekin is meñ zarā miThās nahīñ
jitne nāḳhun baḌhā chukī hai vo
mere siine pe itnā maas nahīñ
maiñ ne be'izzatī nahīñ kī thī
vaise 'izzat bhī us ko raas nahīñ
ab tere lauTne ki aas nahin
is liye bhi ye dil udas nahin
kuchh nahin chahiye kisi se mujhe
aur kuchh bhi kisi ke pas nahin
jitni bechaargi hai lahje mein
hukm samjhunga iltimas nahin
sabr ka phal to mil gaya hai mujhe
lekin is mein zara miThas nahin
jitne naKHun baDha chuki hai wo
mere sine pe itna mas nahin
main ne be'izzati nahin ki thi
waise 'izzat bhi us ko ras nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.