ab to aankh se itna jadu kar leta hun
ab to aañkh se itnā jaadū kar letā huuñ
jis ko chāhūñ us ko qaabū kar letā huuñ
mere haath meñ jab se us kā haath aayā hai
ḳhaar ko phuul aur phuul ko ḳhushbū kar letā huuñ
raat kī tanhā.ī meñ jab bhī ghar se niklūñ
us kī yādoñ ko maiñ jugnū kar letā huuñ
dil kā dariyā sahrā hone se pahle hī
apnī har ik ḳhvāhish aahū kar letā huuñ
jab bhī dil kī samt 'hasan' baḌhtā hai koī
us ke aage apne baazū kar letā huuñ
ab to aankh se itna jadu kar leta hun
jis ko chahun us ko qabu kar leta hun
mere hath mein jab se us ka hath aaya hai
KHar ko phul aur phul ko KHushbu kar leta hun
raat ki tanhai mein jab bhi ghar se niklun
us ki yaadon ko main jugnu kar leta hun
dil ka dariya sahra hone se pahle hi
apni har ek KHwahish aahu kar leta hun
jab bhi dil ki samt 'hasan' baDhta hai koi
us ke aage apne bazu kar leta hun
- Book : Ham ne bhi mohabbat ki hai (Pg. 73)
- Author : HASAN ABBASI
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.