ab to aasan dikhai nahin deta kuchh bhi
ab to āsān dikhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
us kī jānib se sunā.ī nahīñ detā kuchh bhī
is qadar āñkhoñ pe qābiz hai vo jaanā us kā
is taraf aatā dikhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
āsmānoñ kā bulānā na qafas kā khulnā
kyoñ parinde ko rihā.ī nahīñ detā kuchh bhī
farq koī nahīñ ḳhalvat meñ ki mahfil meñ rahūñ
dard se mujh ko judā.ī nahīñ detā kuchh bhī
chand jugnū yā sitāre to dikheñge shab meñ
is ujāle meñ dikhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
ab to aasan dikhai nahin deta kuchh bhi
us ki jaanib se sunai nahin deta kuchh bhi
is qadar aankhon pe qabiz hai wo jaana us ka
is taraf aata dikhai nahin deta kuchh bhi
aasmanon ka bulana na qafas ka khulna
kyon parinde ko rihai nahin deta kuchh bhi
farq koi nahin KHalwat mein ki mahfil mein rahun
dard se mujh ko judai nahin deta kuchh bhi
chand jugnu ya sitare to dikhenge shab mein
is ujale mein dikhai nahin deta kuchh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.