ab to aisa koi manzar bhi dikhaya jae
ab to aisa koi manzar bhi dikhaya jae
Haleema Sadiya Shagufta
MORE BYHaleema Sadiya Shagufta
ab to aisā koī manzar bhī dikhāyā jaa.e
jis se rote hue bachchoñ ko hañsāyā jaa.e
jurm duniyā meñ yahī sab se baḌā hai ba-ḳhudā
dil kisī kā kabhī hargiz na dukhāyā jaa.e
atomī bam ke dhamākoñ meñ pale bachchoñ ko
kaise miTTī ke khilaunoñ se lubhāyā jaa.e
kitne ma.asūm haiñ bhole se ye raushan chehre
in ko rauñdā nahīñ palkoñ pe biThāyā jaa.e
vaqt-e-ruḳhsat ye kahā phuul ne ik bulbul se
kuchh to me.ār-e-vafā aur baḌhāyā jaa.e
ab 'shagufta' ko jo ta.abīr se Dar lagtā hai
us kī āñkhoñ se har ik ḳhvāb churāyā jaa.e
ab to aisa koi manzar bhi dikhaya jae
jis se rote hue bachchon ko hansaya jae
jurm duniya mein yahi sab se baDa hai ba-KHuda
dil kisi ka kabhi hargiz na dukhaya jae
atomi bam ke dhamakon mein pale bachchon ko
kaise miTTi ke khilaunon se lubhaya jae
kitne masum hain bhole se ye raushan chehre
in ko raunda nahin palkon pe biThaya jae
waqt-e-ruKHsat ye kaha phul ne ek bulbul se
kuchh to mear-e-wafa aur baDhaya jae
ab 'shagufta' ko jo tabir se Dar lagta hai
us ki aankhon se har ek KHwab churaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.