ab to aksar ye sochti hun main
ab to aksar ye sochtī huuñ maiñ
kyā tire dil meñ vāqa.ī huuñ maiñ
shahr-e-maftūha dekh hasrat se
tujh ko sarhad se dekhtī huuñ maiñ
muflisī dekhtī hai kyā aise
terī tasvīr bhī rahī huuñ maiñ
vaqt-e-āḳhir meñ milne vaale shaḳhs
tujh ko sadiyoñ se jāntī huuñ maiñ
mere māthe kī shikneñ jāntī haiñ
kis qadar tujh ko sochtī huuñ maiñ
ratjagoñ se bhare hue ai shaḳhs
terī āñkhoñ meñ jāgtī huuñ maiñ
ab to aksar ye sochti hun main
kya tere dil mein waqai hun main
shahr-e-maftuha dekh hasrat se
tujh ko sarhad se dekhti hun main
muflisi dekhti hai kya aise
teri taswir bhi rahi hun main
waqt-e-aKHir mein milne wale shaKHs
tujh ko sadiyon se jaanti hun main
mere mathe ki shiknen jaanti hain
kis qadar tujh ko sochti hun main
ratjagon se bhare hue ai shaKHs
teri aankhon mein jagti hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.