ab to apnon se hi hai apne watan ko KHatra
ab to apnoñ se hī hai apne vatan ko ḳhatra
ya.anī phūloñ se bhī hotā hai chaman ko ḳhatra
kahīñ mandir se haiñ ḳhatre meñ miyāñ abdullāh
kahīñ masjid se nazar aayā madan ko ḳhatra
koī pāmāl na kar de kahīñ ismat merī
raah chalne pe bhī hotā hai bahan ko ḳhatra
din-ba-din girtā hī jaatā hai adab kā me.aar
dekho hone ko hai ab jā-e-suḳhan ko ḳhatra
is zamīñ ne bahut ugle haiñ lahū ke chashme
hogā is baar faqat charḳh-e-kuhan ko ḳhatra
ab to apnon se hi hai apne watan ko KHatra
yani phulon se bhi hota hai chaman ko KHatra
kahin mandir se hain KHatre mein miyan abdullah
kahin masjid se nazar aaya madan ko KHatra
koi pamal na kar de kahin ismat meri
rah chalne pe bhi hota hai bahan ko KHatra
din-ba-din girta hi jata hai adab ka mear
dekho hone ko hai ab ja-e-suKHan ko KHatra
is zamin ne bahut ugle hain lahu ke chashme
hoga is bar faqat charKH-e-kuhan ko KHatra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.