ab to daraaz ek bhi dast-e-dua nahin
ab to darāz ek bhī dast-e-duā nahīñ
sab haiñ ḳhudā yahāñ pe koī nā-ḳhudā nahīñ
qadreñ badal chukī haiñ junūn-e-vafā kī ab
shart-e-vafā badal do koī bevafā nahīñ
dekho galī meñ tum ko sadā de rahā hai kaun
āvāz dene vaale sabhī to gadā nahīñ
'iqbāl' ban ke shikva karo to hai baat kuchh
is daur meñ tarīqa-e-'hālī' ravā nahīñ
maiñ zindagī ke shahr meñ naġhmoñ kī jaan thā
sahrā kā ab sukūt huuñ koī sadā nahīñ
ab le chalo 'umar' kisī maiḳhāne meñ mujhe
dair-o-haram meñ mere maraz kī davā nahīñ
ab to daraaz ek bhi dast-e-dua nahin
sab hain KHuda yahan pe koi na-KHuda nahin
qadren badal chuki hain junun-e-wafa ki ab
shart-e-wafa badal do koi bewafa nahin
dekho gali mein tum ko sada de raha hai kaun
aawaz dene wale sabhi to gada nahin
'iqbaal' ban ke shikwa karo to hai baat kuchh
is daur mein tariqa-e-'haali' rawa nahin
main zindagi ke shahr mein naghmon ki jaan tha
sahra ka ab sukut hun koi sada nahin
ab le chalo 'umar' kisi maiKHane mein mujhe
dair-o-haram mein mere maraz ki dawa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.